dekh raha hai dariya bhi hairani se main ne kaise par kiya aasani se nadi kinare pahron baitha rahta hun kya rishta hai mera bahte pani se har kamre se dhup hawa ki yari thi ghar ka naqsha bigda hai nadani se ab sahra mein chain se soya karta hun dar lagta tha bachpan mein virani se dil pagal hai roz pasheman hota hai phir bhi baz nahin aata man-mani se kam kam kharch karo warna ye jazbe bhi be-waqat ho jate hain arzani se apna farz nibhana ek ibaadat hai 'alam' hum ne sikha ek japani se