dil aankhon se aashiq bachae hue hain hiran ko wo chita banae hue hain nahin likhte hain khat jo hum ko wo qasid kisi ke sikhae padhaye hue hain na khanjar uthega na talwar un se wo bazu mere aazmae hue hain agar un ko puja to kya kufr hoga ki but bhi khuda ke banae hue hain koi bandho na bandhe ab kuchh na hoga ki hum rang apna jamae hue hain hazaj mein bhi ashaar ai 'nadir' ab padh ki bazm-e-sukhan mein sab aae hue hain