dekh tu yar-e-baada-kash! maine bhi kaam kya kiya

dekh tu yar-e-baada-kash! main ne bhi kaam kya kiya
de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya

kyun sag-e-yar se khajil mujh ko pas-az-fana kya
kha gaya ustukhan mere tu ne ye kya huma kiya

zakhm-e-jigar se dam-ba-dam kab nahin khun-baha kiya
to bhi na qatil apne se dawa-e-khun-baha kiya

us but-e-rashk-e-gul ne jab band-e-qaba ko wa kiya
apni nazar ye ghuncha do hath se phir mala kiya

kaun se din na yar ne chashm ko surma-sa kiya
kab na dil-e-siyah-bakht khak mein tu mila kiya

dilbar-e-shoala-khu ne jab zulf ko rukh pe wa kiya
dil pe main sura-e-dukhan karne ko dam padha kiya

baada-kashi ko saqiya kis ki mujhe bata hubab
zor-e-bhanwar ke chaak par saghar-e-mai bana kiya

wasl ki raat ham-nashin kyunki kati na puchh kuchh
barsar-e-sulh mein raha tis pe bhi wo lada kiya

pae-nigar se lipat chor bani to aap ko hi
hath na kyun tere bandhin kaam ye kya hina kiya

dil ki judai ka kahun kis se main majra-e-gham
sail-e-sarishk-e-chashm-e-tar sham-o-sahar baha kiya

shakl-e-asa-e-musawi tha to wo gesu-e-daraaz
par use dast-e-shana ne de ke kham aur duta kiya

zeb-e-sar-e-shahan kabhi tu ne na dekha tira-bakht
baal-e-magas ne kab dila kar-e-par-e-huma kiya

tar-e-nafas ulajh gaya mere gulu mein aa ke jab
nakhun-e-tegh-e-yar ko main ne girah-kusha kiya

bosa-e-lab se ek din us ke hua na kaamyab
dilbar-e-bad-zaban ki main galiyan hi suna kiya

aa ke salasil ai junun kyun na qadam le baad-e-qais
is ka bhi hum ne silsila az-sar-e-nau bapa kiya

munh to na tha ye ghair ka us ko khilae barg-e-pan
par na mera jo bas chala khun-e-jigar piya kiya

us ki shikastagi ka gham kyun na ho mujh ko saqiya
meri baghal mein aah yan shisha-e-dil raha kiya

tar-e-nafas juda kiya barbat-e-tan se mere aah
kaudak-e-mutrib aur kya tujh ko kahun baja kiya

koh ko khinchta jo tu kah-ruba to jaante
ek par-e-kah ko utha naz kiya to kya kiya

kyun ho khizr-e-rah-rawan khak-nashini pe meri
jis ne ba-shakl-e-naqsh-e-pa mujh ko hai rahnuma kiya

shola-rukhon ke ishq ne kunj-e-mazar mein bhi aah
sone diya na chain se main to sada jala kiya

mujh ko hai hijr-o-wasl ek is ki khushi na us ka gham
kaisi musibaton ke din bar-e-khuda bhara kiya

wasl hua to ye hua mar-e-siyah jaan kar
raat bhar apni zulf ke sae se wo dara kiya

aur main muddaa-talab aish se na-umid ho
shola-e-shama ki tarah sar ko pada dhuna kiya

mudrika-e-bashar hai kya pae jo us ki kunah ko
chaha jo us ne so kiya kaun kahe ki kya kiya

yani bana ke chashm ko surat-e-shisha-e-hubab
sahib-e-zarf tha jo dil jam-e-jahan-numa kiya

apni shararaton se wo baz na aaya ai 'nasir'
mujh ko rula ke abr san barq-e-namat hansa kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close