kabhi koi rona kabhi koi rona kabhi ek matam kabhi ek matam na kyun dil se baaten karen hum musalsal yahi ek monis yahi ek hamdam hamein khauf aata hai ab dosti se magar aap irshad kar den to sar kham bhala shaikh-sahab hamein kyun pilaen badi mushkilon se hui hai faraham use ghaur se dekhna chahta hun zamane ki gardish zara ruk zara tham meri tarah hauka nahin shaikh-ji ko lihaza wo ye shauq karte hain kam-kam 'shuur' ek din pesh hona padega kahan tak bachoge aziz-e-mukarram