dekh yun ruth kar nahin jate bagh se be-samar nahin jate baat ko kar rahe hain khatm yahin teri auqat par nahin jate yani ki log ab juda ho kar zinda rahte hain mar nahin jate apni aawargi mein rahte hain tere ushshaq ghar nahin jate kuch kar jaen gar parinde to un ke pichhe shajar nahin jate tere kuche ki samt panw uthe jab bhi socha udhar nahin jate