dekha hai ek nazar unhen anjam jo bhi ho qismat mein apni ai dil-e-nakaam jo bhi ho meri nazar pe sara zamana hai mo'tariz lekin wo ek ada hai lab-e-baam jo bhi ho imkan phir rihai ki karta hai koshishen murgh-e-bala-nasib tah-e-dam jo bhi ho kuchh in-o-an ko dakhl nahin rah-e-ishq mein ab un ka mere waste paigham jo bhi ho aankhon mein waqt-e-did kuchh aansu zarur the hum par ab is ke waste ilzam jo bhi ho kahta hai dil ki baat magar apne sher mein qismat ka mara 'asi'-e-gumnam jo bhi ho