dur rah kar watan ki faza se jab bhi ahbab ki yaad aai hijr mein rah gaya dil tadap kar aankh fart-e-alam se bhar aai gulshan-e-hasrat-o-arzu ki jab kali koi khulne pe aai baad-e-sarsar ne mare tamanche is khata par ki kyun muskurai ahl-e-zar se ye uns-o-mohabbat be-zaron se ye andaz-e-nafrat khul gaya aap ka zohd-o-taqwa dekh li aap ki parsai wo tasannoa hai akhlaq kya hai wo numaish hai ikhlas kab hai wo mohabbat nahin hai riya hai ho na jab tak dilon mein safai un ka anjam hai sar-bulandi jin ke dil mein nahin khud-pasandi jin ko mahbub hai khaksari un ko aati nahin khud-satai dil hai insan ka aabgina is ke jalwon ka hai ye khazina baithne den na gard-e-kudurat aabgine ki rakkhe safai roz-e-mahshar ki wo jaan-gudazi had na hogi sarasimgi ki kaam aaegi us din yaqinan aasiyon ke liye mustafai teri rahmat ka dil ko yaqin hai is mein mujh ko koi shak nahin hai hogi maqbul ek roz yarab tere dar ki meri jubba-sai daur-daura hai kizb-o-riya ka hai dilon se khulus aaj anqa dekhiye ab kahan ja rahi hai apne markaz se hat kar khudai kya ab insaniyat mar chuki hai bad-zani dil mein ghar kar chuki hai kuchh samajh mein nahin aa raha hai kyun hai bad-khwah bhai ka bhai aadmi ki ye kaisi rawish hai dil mein is ke ye kaisi khalish hai ghair se qurbat-e-dostana aur apnon se be-e'tinai khidmat-e-khalq mein din guzaren zindagi is tarah se sanwaren aaqibat mein mile surkh-rui aur yahan bhi na ho jag-hansai sab se behtar hai sabr-o-qanaat ruh ko is se milti hai rahat la na harf-e-shikayat zaban par sun na 'zauqi' kisi ki burai