dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se chehre tamam lagne lage hain ajib se ai ruh-e-asr jag kahan so rahi hai tu aawaz de rahe hain payambar salib se is rengti hayat ka kab tak uthaen bar bimar ab ulajhne lage hain tabib se har gam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki rah milti hai ku-e-habib se is tarah zindagi ne diya hai hamara sath jaise koi nibah raha ho raqib se