ye khalq sari hawa mere nam kar degi mere charaghon ka jina haram kar degi suna hai dhup ko ghar lautne ki jaldi hai wo aaj waqt se pahle hi sham kar degi kuchh aur der jo thahra main us ki aankhon mein to chand taron ko mera ghulam kar degi main apne daur se bad-zan hun ibtida to karun ki agli nasl mera baqi kaam kar degi phir is ke baad wo mujh se lipat ke roegi safar ka thik se sab intizam kar degi kharidne se to behtar hai us ko mang hi lun wagarna unche bahut apne dam kar degi batao is mein bhi us ka koi khasara hai wo shahr-e-khwab abhi mere nam kar degi