dekha hi na ho jis ne kabhi KHak se aage

dekha hi na ho jis ne kabhi khak se aage
kya us ko nazar aaega aflak se aage

wo gham bhi uthae hain tere ishq mein ai jaan
uthte hi na the jo dil-e-sad-chaak se aage

dil mausam-e-hijran mein kahin mar na gaya ho
dekho to kabhi dida-e-namnak se aage

ek fasl-e-bahaaran hai mere ruh-o-badan par
ek bagh khila hai teri poshak se aage

shamil to hain hum qafila-e-hosh-o-khirad mein
jaana hai magar manzil-e-idrak se aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close