go sirr-e-irtiqa-o-baqa mera jism hai sunta hun to fana ki sada mera jism hai main hun azal se waqt ki gardish ka raaz-dar ye bazm-e-kaenat hai kya mera jism hai aisa raha chaman mein ki mahsus ye hua jo gul khila jo sabza uga mera jism hai aankhon ke mawara jhalak uthta hai gah-gah wo shokh jis ki sada qaba mera jism hai meri talash meri talab be-had-o-hisab meri hudud meri saza mera jism hai shab ki dabiz tirgiyon ke jawab mein ye ek timtimata diya mera jism hai ek mushtail hujum sar-e-rahguzar tha puchha ki kya hai main ne kaha mera jism hai