dekha jo aaina to mujhe sochna pada khud se na mil saka to mujhe sochna pada us ka jo khat mila to mujhe sochna pada apna sa wo laga to mujhe sochna pada mujh ko tha ye guman ki mujhi mein hai ek ana dekhi teri ana to mujhe sochna pada duniya samajh rahi thi ki naraaz mujh se hai lekin wo jab mila to mujhe sochna pada sar ko chhupaun apne ki pairon ko dhanp lun chhoti si thi rida to mujhe sochna pada ek din wo mere aib ginane laga 'faragh' jab khud hi thak gaya to mujhe sochna pada