dekha jo ek shakhs ajab aan-ban ka ek silsila sa rahta hai har-waqt dhyan ka be-soche-samjhe ghar se jo yunhi nikal pade ab dhundte hain saya kisi saeban ka koi nahin hai aisa ki apna kahen jise kaisa tilism tuta hai apne guman ka basti mein hain pa aise ki sab se juda hain hum achchha tha khabt hum ko bhi unche makan ka mauj-e-nafas ke sath rahe rishta-e-ummid dhadka sa warna rahta hai har-waqt jaan ka zalim khuda se dar kahin bijli na gir pade mushkil bahut hai girna agar aasman ka jis ghar mein hanste khelte guzri hai ek umr rishta bhi ab to yaad nahin us makan ka nakaamiyon ko hum ne muqaddar bana liya ab dar nahin raha hai kisi imtihan ka 'nadir' wo kab balaon ko khatir mein late hain rakhte hain jo bhi hausla unchi udan ka