dil to barsata hai har roz hi gham ke sawan phir bhi bujhte nahin yaadon ke sulagte indhan zindagi khwabon ki chilman mein yun ithlati hai jaise sakhiyon mein ghiri ho koi sharmili dulhan ab to har roz hi ek aanch nai uthti hai ye mera jism na ban jae dahakta madfan is se pahle ki saba aankh-micholi khele band kar do dar-e-ummid ka har har rauzan shab ke aaine mein taswir-e-tamanna dekho aks dikhlaega kya tum ko sahar ka darpan is qadar bhi to satao na bahakte khwabo dil tabir ki ruk jae larazti dhadkan hai wo wahshat ki hawa bhi nahin chalti 'athar' ban gaya kitna bhayanak ye wafa ka aangan