dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh

dekha kisi ka hum ne na aisa suna dimagh
in sang-dil buton ka hai allah kya dimagh

karta nahin tamiz sharif-o-razil mein
is charkh-e-pir ka hai magar phir gaya dimagh

dekhe bahut hain hum ne hasinan-e-pur-ghurur
lekin ajab tarah ka hai kuchh aap ka dimagh

kal jitna hum ne us ko mana ke banaya tha
utna hi aaj aur hai bigda hua dimagh

jab honge pesh dawar-e-mahshar ke samne
hum dekh lenge aap ka roz-e-jaza dimagh

aaya nahin samajh mein ye ulta moamla
ban ban ke kyun bigadta hai ye aap ka dimagh

gul ki bahaar gulistan mein chand roz hai
achchha nahin hai is qadar ai mah-laqa dimagh

ai 'mashriqi' kabhi tha dimagh apna arsh par
hai aaj-kal to khak mein apna mila dimagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close