dekha kuchh aaj yun kisi ghaflat-shiar ne

dekha kuchh aaj yun kisi ghaflat-shiar ne
main apni umr-e-rafta ko dauda pukarne

hangama-e-shabab ki ponchho na sar-guzasht
apne chaman ko lut liya khud bahaar ne

paikan-e-tir zahr mein itne bujhe na the
kuchh aur kar diya hai nazar ko khumar ne

tammat-ba-khair dil ki shikayat ki dastan
honton ko si diya nigah-e-sharmsar ne

himmat padi na shaikh se kahne ki mohtasib
aae ho ek gharib pe ghussa utarne

wo to kaho ki aai qafas tak bhi bu-e-gul
warna bhula diya tha hamein to bahaar ne

jo tang-e-gul the turra-e-dastar ban gae
jo gul the aae turbat-e-be-kas sanwarne

aae ho kya tumhin mujhe aawaz do zara
aankhon ka nur chhin liya intizar ne

aalam-e-rozgar se 'mulla' ko kya gharaz
apna bana liya hai use chashm-e-yar ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close