chiz dil hai rukh-e-gulfam mein kya rakkha hai kaif sahba mein hai khud jam mein kya rakkha hai gungunata hua dil chahiye jine ke liye is naza-e-sahar-o-sham mein kya rakkha hai kaun kis tarah se hota hai harif-e-mai-e-zist aur talkhaba-e-ayyam mein kya rakkha hai ishq karta hai to kar aur nigahon ko buland rishta-e-rah-guzar-o-baam mein kya rakkha hai murgh-e-azad hua kya teri khuddari ko chand danon ke siwa dam mein kya rakkha hai husn fankar ki ek chhed hai ishq-e-nadan bewafai ke is ilzam mein kya rakkha hai dekhna ye hai ki wo dil mein makin hai ki nahin chahe jis nam se ho nam mein kya rakkha hai den mere zauq-e-parastish ko duaen 'mulla' warna patthar ke in asnam mein kya rakkha hai