dekha na hum ne rashk se aghyar ki taraf munh pher baithe bazm mein diwar ki taraf sail-e-sarishk apne hi ghar mein bahaenge kyon jae ye bala teri diwar ki taraf baithe bithae aae jo shamat to kya ilaj dil ne kaha ki aao chalen yar ki taraf chahi thi dad hum ne dil-e-saf ki magar aaina ho gaya tere rukhsar ki taraf taswir ko bhi us ki yahan tak ghurur hai dekhe kabhi na talib-e-didar ki taraf taqsir mai-farosh ki ai mohtasib nahin ye chiz ud ke jati hai mai-khwar ki taraf di jaan kis khushi se tah-e-tegh 'dagh' ne lab par tabassum aur nazar yar ki taraf