dekha nahin chand ne palat kar hum so gae khwab se lipat kar ab dil mein wo sab kahan hai dekho baghdad kahaniyon se hat kar shayad ye shajar wahi ho jis par dekho to zara waraq ulat kar ek khauf-zada sa shakhs ghar tak pahuncha kai raston mein bat kar kaghaz pe wo nazm khil uthi hai ug aaya hai phir darakht kat kar 'babar' ye parind thak gae the baithe hain jo khak par simat kar