ahl-e-gham aao zara sair-e-gulistan kar len gar khizan hai to chalo shaghl-e-bahaaran kar len phir to har samt andhera hi andhera hoga pau phati hai to luti bazm charaghan kar len dil ki viraniyan aankhon mein udati hain ghubar mil ke ro len to kuchh un ko bhi farozan kar len qahqahon se to ghutan aur bhi badh jaegi aao chup rah ke hi is dard ka darman kar len shayad is tarah bagulon ka guzar mumkin ho apne virane ko kuchh aur bhi viran kar len hum jo zinda hain to sab kahte hain kyun zinda hain aao mar kar bhi masihaon ko hairan kar len