dekha palat ke jab bhi to phaila ghubar tha kuchh aansuon ki dhund thi ujda dayar tha yaadon ke aaine mein hain ab bhi basi hui aankhen ki jin mein munjamid ek intizar tha rishton ki dor hath se chhuti thi is liye daman jo bad-gumaniyon se tar tar tha kaisi thi mai jo aankh se tu ne pilai thi meri ragon mein aaj tak us ka khumar tha tuta koi sitara tha ya khwab-e-arzu tair qafas mein raat bahut be-qarar tha dhundla diye the jis ne sabhi aaine yahan mere hi ghar se uttha wo gard-o-ghubar tha