kahin jamal-paziri ki had nahin rakhta main badh raha hun tasalsul se qad nahin rakhta ye qabl o baad ke us par ki hikayat hai mera dawam azal aur abad nahin rakhta wo ek ho ke bhi hum se gina nahin jata wo ek ho ke bhi aage adad nahin rakhta ye umr bhar ki riyazat mera muqaddar hai tarashta hun jise khal-o-khad nahin rakhta wo ek sukhan hi hamari sanad na ban jae wo ek sukhan jo tumhaari sanad nahin rakhta 'turab' kasa-e-dil pesh kar diya jae suna hai koi sakhawat ki had nahin rakhta