dekha to koi aur tha socha to koi aur jab aa ke mila aur tha chaha to koi aur us shakhs ke chehre mein kai rang chhupe the chup tha to koi aur tha bola to koi aur do-chaar qadam par hi badalte hue dekha thahra to koi aur tha guzra to koi aur tum jaan ke bhi us ko na pahchan sakoge anjaane mein wo aur hai jaana to koi aur uljhan mein hun kho dun ki use pa lun karun kya khone pe wo kuchh aur hai paya to koi aur dushman bhi hai hamraaz bhi anjaan bhi hai wo kya 'ashk' ne samjha use wo tha to koi aur