khayal yar mujhe jab lahu rulane laga to zakhm zakhm mere dil ka muskurane laga mujhe khud apni wafa par bhi e'timad nahin main kyun tumhaari mohabbat ko aazmane laga kiya hai yaad mujhe mere baad duniya ne hua jo gharq to sahil qarib aane laga na chhin mujh se surur-e-shab-e-firaq na chhin qarar-e-dil ko na dastak ke taziyane laga misal apni to hai is darakht ki ki jise laga jo sang to badle mein phal girane laga har ek samt riya ki tamazaten hain 'asad' jo ho sake to mohabbat ke shamiyane laga