dekha tujhe to aankhon ne aiwan saja liye jaise tamam khoe hue khwab pa liye jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang sab titliyon ne aur dhanak ne uda liye aisi ghuti fazaon mein kaise jiyenge wo kuchh qafile jo aae hain taza hawa liye in sar-phiri hawaon se kuchh aashna to hun gahre samundaron mein na kashti ko daliye izhaar kijiye ki zara karb kam to ho ai dosto dukhon ko dilon mein na paliye khud hi uthaen apne junun ki jarahaten ye rog dusron ke na khate mein daliye pahle ye kohsar to taskhir kijiye 'farigh' abhi falak pe kamanden na daliye