dekhe koi jo chaak-e-gareban ke par bhi aaina-e-khizan mein hai aks-e-bahaar bhi ab har-nafas hai bhigi sadaon ki ek fasil mauj-e-hawas thi gardish-e-lail-o-nahaar bhi kya shorish-e-junun hai zara kam nahin hua qurbat ke bawajud tera intizar bhi kitni aqidaton ke jigar chaak ho gae kya sehr tha shuur-e-nazar ka khumar bhi jo arsh-o-farsh par kabhi aaya nahin nazar dekha hai us ko hum ne sar-e-rahguzar bhi wo shor-e-husn tha dam-e-nazzara-e-jamal hum sun sake na apne badan ki pukar bhi 'farigh' khayal-e-yar se main ham-subu raha guzri hai mai-kade mein shab-e-intizar bhi