dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga chhu kar use, guhar mujhe achchha nahin laga chaha use to yun ki na chaha kisi ko phir koi bhi umr bhar mujhe achchha nahin laga aaina dil ka tod ke kahta hai sang-zan dil tera tod kar mujhe achchha nahin laga dil se mere ye kah ke sitamgar nikal gaya dil hai tera khandar mujhe achchha nahin laga ugla safar ho mere khuda rahaton bhara jiwan ka ye safar mujhe achchha nahin laga dekha jo is ke dar pe raqibon ka ek hujum phir us ke ghar ka dar mujhe achchha nahin laga tajdid-e-rasm-o-rah pe wo to raha musir wo bewafa magar mujhe achchha nahin laga is ka hi zikr bas tumhein achchha lage 'sahab' kahte ho tum magar mujhe achchha nahin laga