phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage ru-ba-ru kaun tha jo aaine hairan se lage kuchh thi kam-hauslagi apni thi kuchh be-sabri kuchh mujhe ishq ke hangame bhi aasan se lage waqt katta raha tha ahd-e-huzuri ki firaq zakhm lagte rahe chahe kisi unwan se lage zist hum haar ke bhi hath milaen tujh se apne ye hausle shayad tujhe arzan se lage zindagi mere izafe mujhe wapas kar de jhad de khar jo nahaq tere daman se lage