dekhe agar ye garmi-e-bazar aaftab sar bech kar ho tera kharidar aaftab wo husn-e-khud-farosh agar be-naqab ho mahtab mushtari ho kharidar aaftab poshida gesuon mein hua ru-epur-ziya hai aaj mehman-e-shab-e-tar aaftab us ki tajalliyon se kare kaun ham-sari ho jis ke naqsh-e-pa se numudar aaftab ahbab ko 'hasan' wo chamakti ghazal suna har lafz se ho jis ke numudar aaftab