haal-e-marg-e-be-kasi sun kar asar koi na ho sach to ye hai aap sa bhi be-khabar koi na ho hae dushman dekhen un ke uthte jauban ki bahaar hae main koi na hun meri nazar koi na ho is tamanna par kate marte hain mushtaqan-e-qatl yar par qurban hum se peshtar koi na ho wo qayamat ki ghadi hai talib-e-didar par jab uthe parda to parde ke udhar koi na ho ishq mein be-tabiyan hoti hain lekin ai 'hasan' jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho