dekhe jo ek bar ruKH-e-yar ki taraf

dekhe jo ek bar rukh-e-yar ki taraf
phir umr-bhar na jae wo gulzar ki taraf

ho dekhna jise mizha-e-yar ki taraf
dekhe wo pahle khanjar-e-khun-khar ki taraf

apni jagah se hum nahin utthe ye soch kar
dil hai to khud hi jaega dildar ki taraf

kis ke nasib jagne wale hain kya khabar
rah rah ke dekhte hain wo talwar ki taraf

us dar pe kaun hai ki wahan se koi sada
aa aa ke laut jati hai diwar ki taraf

mailan-e-taba-e-yar ajab hai ki in dinon
apnon hi ki taraf hai na aghyar ki taraf

iqrar ki dikha koi surat ki ai khuda
munh pher kar wo baithe hain inkar ki taraf

rahmat teri sahaara bani warna hashr mein
koi nahin tha mujh se gunahgar ki taraf

'mahfuz' takht-gah-e-qanaat hai aur hum
kyon uth ke jaen ab kisi darbar ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close