dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega wabasta tere mu ka pareshan rahega wada to kiya is se dam-e-subh ka lekin us dam tain mujh mein bhi agar jaan rahega munim ne bana zulm ki rakh ghar to banaya par aap koi raat hi mehman rahega chhutun kahin iza se laga ek hi jallad ta-hashr mere sar pe ye ehsan rahega chimte rahenge dasht-e-mohabbat mein sar-o-tegh mahshar tain khali na ye maidan rahega jaane ka nahin shor sukhan ka mere hargiz ta-hashr jahan mein mera diwan rahega dil dene ki aisi harakat un ne nahin ki jab tak jiyega 'mir' pasheman rahega