wusaten mahdud hain idrak-e-insan ke liye warna har zarra hai duniya chashm-e-irfan ke liye ai khizan tu shauq ke sara chaman barbaad kar chand phansen chhod ja meri rag-e-jaan ke liye dur pahunchin shohraten raftar sehr-asar ki khul gae raste tere husn-e-kharaman ke liye phul gulshan ke nahin to khak-e-sahra hi sahi kuchh na kuchh to chahiye taskin-e-daman ke liye is liye deta dil tum ko ki lo aur bhul jao main ne ek taswir di hai taq-e-nisyan ke liye dhajjiyan udne ko ai 'simab' wusat chahiye hai koi maidan aashob-e-gareban ke liye