dekhen ab kya dil-jalon se bol bole jaenge lag hi se phut kya dil ke phaphole jaenge hai yahan paimana mal-o-naqd hi lekin wahan zarf ki mizan par hi log tole jaenge mashal-e-mazi dikha sakti hai mustaqbil ki rah hai ye kunji jis se sare qufl khole jaenge yaad rakhne ke liye lamhe guzishta waqt ke ab kitab-e-mazi ke panne tatole jaenge tauba tauba kis qadar munh se tapakti hai shakar is zaban se mithe mithe zahr ghole jaenge ruh ki bosidgi ko dafn karne ke liye dekhiyega badle kis kis tan ke chole jaenge hai saraha khub ye paiwand-kari ka hunar rishta-dar-rishta sabhi ab pech khole jaenge peng badhti jae amrai mein jyun jyun din chadhe sham hote tak utare sab hindole jaenge lijiye diwan-e-'naqid' aap hi ke nam hai hum kahan in be-tuke ashaar ko le jaenge