hamari aql par tale pade hain khandar hai zehn aur jale pade hain ba-zahir saf aate hain nazar dil magar andar se ye kale pade hain kabhi dekho palat kar aastin ko kai hi sanp hum pale pade hain mayassar kaise ho do waqt roti ki jab ek waqt ke lale pade hain karen khud hi khizaon ke hawale chaman ke aise rakhwale pade hain bahut roya juda ho kar wo shayad tabhi to aankh mein haale pade hain dahakte raste par chal pade the abhi tak panw mein chhaale pade hain luta sakte hain ulfat mein wo jaanen bahut ai 'sad' matwale pade hain