dekhiye be-badani kaun kahega qatil hai saya-asa jo phire us ko pakadna mushkil hai rag-e-har-lafz se riste hue khun se ghabra kar main jo khamosh raha sab ne kaha tu jahil hai tajraba dil mein rahe to khule aansu ban ban kar aur kaghaz pe chhalak jae to sham-e-mahfil hai jo bhari duniya ki sangin ajaib-nagri mein apna sar aap na phode wo jahannam wasil hai lab-e-dariya ko milane ka tariqa kaisa hoga donon jhukte hain magar bich mein dariya hail hai