wo jo sab kuchh hai use dur bitha rakkha hai khwahishen hain jinhen mabud bana rakkha hai kuchh to hai tirgi-e-dil mein ujale ke liye tu nahin hai teri yaadon ko bula rakkha hai har koi apne hi partaw mein hai sargarm-e-safar main ne mahaul ko aaina dikha rakkha hai us ka baatin bhi hai khurshid-e-qayamat ki tarah ye jo ek taq mein chhota sa diya rakkha hai ek lahza meri tanhai mein aa kar dekho main ne zindan mein bhara shahr basa rakkha hai sar-e-darbar jo puchho to mera jurm hai ye main ne kyon shahr mein aankhon ko khula rakkha hai kabhi do bol mohabbat ke bhi ai jaan-e-'safi' jab bhi dekho tere honton pe laga rakkha hai