dekhiye haalat ke jogi ka kab tute sharap shayad ab is ahd mein us se na ho mera milap sahib-e-imroz afsurda-mizaj o mushtail gardish-e-haalat ko paimana-e-farda se nap saya-e-afkar mein kante sahi chhanw to ho zehn ki aaghosh se bahar nikalna ab hai pap dil se zauq-e-jurm-e-mehnat kah raha hai bar bar aatish-e-ehsas ke shoalon se bhi kuchh der tap aaine ke samne aate hue darte hain kyun aaina-sazon ka unwan-e-tamanna jab hain aap apni sanson ko jala de apne dil ko tod de waqt ke masruf sadhu ke labon par hai ye jap