aaj main ne use nazdik se ja dekha hai wo daricha to mere qad se bahut uncha hai apne kamre ko andheron se bhara paya hai tere bare mein kabhi ghaur se jab socha hai har tamanna ko riwayat ki tarah toda hai tab kahin ja ke zamana mujhe ras aaya hai tum ko shikwa hai mere ahd-e-mohabbat se magar tum ne pani pe koi lafz kabhi likkha hai aisa bichhda ki mila hi nahin phir us ka pata hae wo shakhs jo aksar mujhe yaad aata hai koi us shakhs ko apna nahin kahta 'azar' apne ghar mein bhi wo ghairon ki tarah rahta hai