dekhna hai yun bhi kuchh taskin pa sakta hun main zabt-e-hasrat ek do aansu baha sakta hun main koshishen nakaam ummidon ki duniya paemal zindagi ko zindagi kis tarah pa sakta hun main fasl-e-gul mahki hui raaten wafur-e-be-khudi is fasane ko haqiqat bhi bana sakta hun main sochna tha apni barbaadi se pahle hi mujhe aadmi hote hue thokar bhi kha sakta hun main farq-e-nauiyat hai lekin ishq bhi mukhtar hai muskura sakte hain wo aansu baha sakta hun main ab bhi duniya mein wafa ka nam baqi hai 'sahar' bhulne wale ko ab bhi yaad aa sakta hun main