ab samjha hai ab jaana hai begana phir begana hai ye majburi par majburi khamoshi bhi afsana hai ye phulon ki rut ye aansu fitrat hi kuchh gham khana hai kitni hi aasen tuti hain itna hi ab tak jaana hai taskin-e-dil kahiye jis ko afsana hi afsana hai tere karan tere bais tere gham ko gham jaana hai un ka afsana hai main hun main hun un ka afsana hai kaisi subhen kaisi shamen rona hai ya rulwana hai duniya hansne wali duniya rone wala diwana hai