dekhna ho gar bana kar kanch ka ghar dekhna kaun barsata hai kis jaanib se patthar dekhna meri palkon par ati hai gard ranj-o-karb ki dard aankhon mein samaya hai samundar dekhna apni khamushi banegi jab fasana ai nadim log hathon mein liye aaenge patthar dekhna main hi ek hairan nahin hun dam-ba-khud hain sab yahan qaum ko le jaenge kis samt rahbar dekhna aap apne waste rakh len charagh-e-arzi bas mera shewa hai zulmat mein utar kar dekhna hai wafaon par bharosa rang laengi zarur jag utthega kabhi mera muqaddar dekhna khatm khun-e-dil hua kaise bharen rang-e-wafa kya bana paenge hum taswir-e-dilbar dekhna zawiye apni udanon ke badalne lag gae kaun dam leta hai 'mohsin' ab kahan par dekhna