ab bhi apna khayal rakkha hai hum ne iman sambhaal rakkha hai nur-e-maula nahin to kya hai jahan khud ko har shai mein dhaal rakkha hai gum hua kab ka bhid mein insan shahr sara khangal rakkha hai hai ye diwangi ki masumi ek tufan pal rakkha hai jism ki tutti fasilon mein hum ne insan bahaal rakkha hai ai ajal chaw se bahut hum ne nam tera visal rakkha hai dekhen 'mohsin' jawab kya aae un ke aage sawal rakkha hai