dekhna husn-e-talab kya mangne aaya hun main

dekhna husn-e-talab kya mangne aaya hun main
ek mohabbat ki nazar bas pyar ka bhuka hun main

apni hasti ki khabar hai jaanta hun kya hun main
ek musht-e-khak hun simta hua sahra hun main

jis ke ek jalwe ne diwana banaya hai mujhe
us but-e-bedad-gar ko dhundhta phirta hun main

aap ne apna liya to wasta duniya se kya
meri duniya aap hain aur aap ki duniya hun main

ghair to kahte rahenge khair jaane dijiye
thik kahte hain bura hun kya kahun achchha hun main

raat din jo aatish-e-furqat mein jalta hun 'kanwal'
khub un ki bewafai ka maza leta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close