falak se dur kahin hai sanam zamin pe nahin main us se milte hue kam se kam zamin pe nahin zamin pe baith ke likhta hun arsh ka qissa qadam zamin pe hain mere qalam zamin pe nahin jo dekhna hai hamein to nazar utha apni zamin se dekh hamare qadam zamin pe nahin kisi ki chashm-e-karam hai jo tham rakhti hai kisi ki nazr-e-karam hai ki hum zamin pe nahin ye jugnu chand sitare hain ham-rikab mere main kya karun ki koi ham-qadam zamin pe nahin kate hain bazu to thama hai apne danton se hazar shukr gira hai alam zamin pe nahin main raat khwab mein pahuncha tha un ke qadmon mein khuda ka shukr ki nikla hai dam zamin pe nahin