dekhna us ki tajalli ka jise manzur hai sang-reza bhi nazar mein us ki koh-e-tur hai hum se ham-chashmi anal-haq ko kahan maqdur hai ashk har yak-dar mizhgan par mere mansur hai nahno-aqrab ki nahin hai ramz se tu aashna warna wo nazdik hai tu aap us se dur hai hijr ki shab ko agar kate to phir hai roz-e-wasl nish ke parde mein dekha nosh bhi mastur hai kya hua waiz kare hai shor jun tabl-e-tahi wo sar-e-be-maghz goya kansa-e-tambur hai aaj hamein aur hi nazar aata hai kuchh sohbat ka rang bazm hai makhmur aur saqi nashe mein chur hai roz o shab rahta hai teri yaad mein aashiq ka dil go muqassir hai teri khidmat se go mazur hai aarzu hai raat andheri mein ki aawe mah-ru jis ke aage raushnai shama ki be-nur hai khaksaron ko kabhu lata nahin khatir mein wo husn ki daulat par apne is qadar maghrur hai ishq hai darushshifa aur dard hai is ka tabib jo nahin is maraz ka talib sada ranjur hai ab talak 'hatim' se to waqif nahin afsos yar shaeri ke fan mein wo aafaq mein mashhur hai