lamhon ko udasi mein samona nahin achchha

lamhon ko udasi mein samona nahin achchha
taqdir bigad jae to rona nahin achchha

har ek ko har rukh se haqiqat nazar aae
is ghar mein koi aisa khilauna nahin achchha

jo log sada zulm ke kanton pe pale hain
un ke liye phulon ka bichhauna nahin achchha

pahle bhi bahut ashk sambhaale the magar aaj
moti wo mile hain ki pirona nahin achchha

'manzar' bhi nafasat ke alam-dar the lekin
ab khun ke in daghon ko dhona nahin achchha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close