dekhne wale bahaar-e-gulsitan dekha kiye

dekhne wale bahaar-e-gulsitan dekha kiye
aur hum rang-e-ada-e-baghban dekha kiye

kab wo hans hans kar mujhe girya-kunan dekha kiye
ijtima-e-barq-o-baran ka saman dekha kiye

hum qafas mein bhi ye jaur-e-baghban dekha kiye
qata hote apni shakh-e-ashiyan dekha kiye

umr bhar qismat ki ye nairangiyan dekha kiye
yar ko aghyar par hum mehrban dekha kiye

sajda kaisa pas tak pahunche na az-pas-e-adab
dur se hum un ka sang-e-astan dekha kiye

un ki aankhen chaar hote hi jhukin su-e-zamin
aur hum hairat se ru-e-asman dekha kiye

main umid-e-lutf mein mahw-e-jabin-sai raha
wo mera zauq-e-sujud-e-astan dekha kiye

mujh se un ki be-hijabi tak na dekhi ja saki
aur wo baithe meri ruswaiyan dekha kiye

ishq ki duniya mein ai 'kaukab' main hun wo mah-ru
rahnuma khud mere qadmon ke nishan dekha kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close