dard-e-dil hi mein nihan hai dard-e-dil ka raaz bhi

dard-e-dil hi mein nihan hai dard-e-dil ka raaz bhi
saz hi mein mustatar hai saz ki aawaz bhi

ho gain raushan meri aankhen zah-e-nur-e-jamal
didani hai wo aur us ke husn ka eajaz bhi

allah allah wahdat-e-jazbaat-o-kaifiyyat-e-ishq
ek surat mein hua anjam bhi aaghaz bhi

arsa-e-hasti mujhe kyon arsa-e-mahshar na ho
fitna-parwarda bhi aur us ka khiram-e-naz bhi

khud nigah-e-shauq kar deti hai ifsha raaz-e-dil
ishq hai kambakht apna aap hi ghammaz bhi

sunne wale ka zara husn-e-samaat dekhiye
aa gai pardon ke bahar saz ki aawaz bhi

kar chuke gor-e-ghariban ki ziyarat kar chuke
dekh lije ab zara qabr-e-shahid-e-naz bhi

ruh nikle tan se naghme kaif ke gati hui
main dam-e-akhir agar sun lun teri aawaz bhi

dida-e-bedar 'kaukab' faizyab-e-nur hai
uth gae yani nigahon se hijab-e-raaz bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close