dekhne wale ye bole chashm-ha-e-yar ke ye to mastane hain shayad khana-e-khammar ke dil mera shayad hai shaidaon mein tir-e-yar ke zakhm-ha-e-dil mushabah hain lab-e-sofar ke par utara bahr-e-na-paida-kanar-e-ishq se sadqe jaun kyon na teri tegh-e-langar-dar ke uth saka hargiz kisi surat na tera na-tawan dab gaya jo niche tere saya-e-diwar ke kya khabar us ko ki kab raat aai aur kab din gaya roz-o-shab yaksan hain aage chashm-e-shab-bedar ke jaan-fazai gham-rubai dilkashi farhat-dahi hain khawas-e-khas ye khak-e-dar-e-dildar ke jo dikha de jalwa ru-e-shahid-e-maqsud ka sadqe saqi is sharab-e-aina-kirdar ke ishq mein us but ke rahban-o-shuyukh-o-barhaman hain ye sab ke sab muqayyad rishta-e-zunnar ke bole behtar hai husul-e-arzu se aarzu wah sadqe jaiye is pahlu-e-inkar ke gham uthana zulm sahna sabr karna ya ki shukr kaun hai husn-e-amal laeq teri sarkar ke kyon na main samjhun ki mujh ko mil gai dad-e-sukhan wo bahut shaeq hain ai 'bedil' mere ashaar ke